Tag: akelepan se jab dar lagta hai

Akelepan Se Jab Dar Lagta Hai To Ho Jaati Hai Kayi Baar Mohabbat

Akelepan Se Jab Dar Lagta Hai To Ho Jaati Hai Kayi Baar Mohabbat

Mohabbat itni chhoti cheej nahi jo kadwahat mein nikal jaaye.
Wo to aapke saans ki mahak hai jo aapke har pal me ghul jaaye.

Akelepan se jab dar lagta hai,
To ho jaati hai kayi baar mohabbat.
Chalo maan liya !

Wo agar wo bewafa nikle
To hamne kaun sa wafa kiya.
Kosa unhen hazaron dafa,
Par ek baar bhi na bharosa kiya.

Bhool ek jo hui unse
Pal bhar me ham khafa ho gye.
Roothne manane ka silsila chalta raha,
Or hamne apne dil se unhe ruswa kar diya.

Akelepan se jab dar lagta hai,
To ho jaati hai kayi baar mohabbat.
Chalo maan liya !

Duaaon mein aksar khuda se unhe
Maang liya kar karte the.
Ta-umr wo wafa karte rahe hamse
Matlabi ham isi ki chaah rakha karte the.

Ki yun to rishte jaise hone chahiye
Ab kahan hua karte hain.
Khud ke khata ko bhool kar ham kyu
Auro se shikwa karte hain.
Kyun hamare dil me itni nafrat
aankhon mein na nind hoti hai.
kyun hame khud se jyada
Auro se ummid hoti hai.

Akelepan se jab dar lagta hai,
To ho jaati hai kayi baar mohabbat.
Chalo maan liya !

Jaana jab mohabbat ke maayine,
To jakar ye pata chala.
Tujhe paane ki junoon mein
Wo baat kaha thi,
Aaj teri yaadon me doob kar
Jo sukoon mila.
Samajhti thi jis pal ko main tanha,
Jaana aaj jaana wo tanhayi nahi thi.
Kahan ghoul paate hain rait paani mein,
Jaana ab jakar ye jaana,
Wo teri bewafaayi nahi thi.

Akelepan se jab dar lagta hai,
To ho jaati hai kayi baar mohabbat.
Chalo maan liya !

Baat jo ki unhone chhod jaane ki,
Aasiyaan jo mera bikhar gaya.
Paak kahan thi meri bhi mohabbat,
Jo ek thokar mein hi,
Unhe apna kehne se mukar gaya.
Agar karte ho bepahan mohabbat unse to suno
Agar jaate hain wo to unhe jaane do.
Unse alag hokar bhi,
Tumahra pyar poora rahega.
Mat bhoolo unse dobara mulakaat ki aas mein hi sahi,
Tumhari yaadon mein khayalon mein
Nazmon mein sawalon mein
Marte dam tak,
Wo shaks tumse jud’aa rahega.
– Sweta Sah